How to fast charge android mobile bsattery..?...Android mobile me battery fast charge kaise karte hai..?

मोबाइल रिपेयरिंग टिप्स हिंदी में
          एंड्राइड स्मार्ट में बैटरी फ़ास्ट चार्ज कैसे करे ?                                   हिंदी में जाने !
       

   Dosto agar aap android phone user hai to apne ik baat note jarur ki hogi yeh ki apke android phone ki battery bahut dair me charge hoti hai hamare smart phone ki battery ko full charge hone lagbhag 2 – 3 hours lag jate hai or kabhi kabhi kya hota hai hume kahi jana pad jata hai or hamare phone ki battery bilkul low hai to hum kya kare ? phone ko hum charge par lagaye to wo lagbhag 15 – 20 mintues me 5 – 6 % hi charge ho payegi jisko low hone me bhi jyada time nahin lagega kyoki aap ye baat bhi jante honge ki smart phone ki battery bahut jaldi low hoti hai.


     To dosto aaj is post me mai apko yehi bataunga kaise aap apne smart phone ki battery ko fast charge kar sakte hai jisse apki slow battery charging ki problem kuch had tak door ho jaye to chaliye jante hai.

            इसे भी पढ़े 


=1.  Ap jab bhi apne android smart phone ki battery ko charge kare to phone ko airplane mode par daal de isse apke phone ki bahut si process ruk jati hai or phone fast charge hone lagta hai shayad aap jante honge ki phone ki sabse jyada battery phone ka radio consume karta hai agar aap use band kar de to apke phone ki battery fastly charge hone lagti hai to phone ko airplane mode par dalne se saare radio band ho jate hai yani shutdown ho jate hai or phone jaldi charge hone lagta hai.
                     

=2.  Dosto google play store par bahut se aise battery fast charging apps bhi hai jo apki battery ko fast charge karne ka dava karte hai ye apps apke phone me chal rahi background process ko band kar dete hai jaise Bluetooth, wifi, etc or running kar rahe apps ki process ko bhi rok dete hai jisse apki battery pehle se kuch jyada jaldi charge hone lagti hai battery fast charging me ultra fast charge ik popular app hai aap chahe to ise use kar sakte hai.

=3.  Agar aap apne phone ko switch off karke charge karte hai to apka phone jaldi charge hota hai kyoki phone ko switch off karke charge karne se phone ki power consuming band ho jati hai or phone jaldi charge hone lagta hai.


=4.  Aapko apne phone me phone ke sath aaya hua charge hi use karna chahiye kyoki dusre charger apke phoe ko nuksan pahucha sakte hai ya apke phone me charging problem aa sakti hai, alag – alag android phone ke charger ko alag – alag phone ke mutabik banaya jata hai isliye apne phone ke sath aye hue charger adepter or cable ko hi use kare phone charge karne ke liye.                                                                                                      


=5.  Apko phone charge karte wakt apne phone ke sare running kar rahe apps ko close kar   dena chahiye isse apka phone jaldi charge ho jayega ap setting me jakar fir application 
me jaakar unhe close kar sakte hai.



6.  Jab aap phone charge karte hai to phone ko power saving mode me daal de fir charge kare phone jaldi charge hoga.

APNE ANDROID SMART PHONE KI BATTERY KO FAST CHARGE KAISE KAR

7.  Agar aapka phone charge hone me 4 – 5 hours laga deta hai to aap apne charger ko check kare apke charge ki wire me problem ho sakti hai wo kahi se cut ho sakti hai ya charge kharab ho sakta hai ap chahe to apne charge ko badal sakte hai charger hamesha original hi use kare.

अगर  हमारा आर्टिकल पसंद  आए तो अपने दोस्तों को जरूर शेयर करे।  मोबाइल रिपेयरिंग में आपको कोई समस्या है तो हमारे कॉमेंट बॉक्स में जरूर लिखे हम आपकी समस्या का समाधान जरूर करेंगे 



ये भी जरूर पढ़े 

मोबाइल का इतिहास
 मोबाइल फ़ोन स्पीकर प्रोबलेम
मोबाइल में कीपैड प्रॉब्लम  




Comments